1

2

3

Thursday, October 13, 2011

aaj kyaa dekhaa Khalaao.n ke sunehare Khvaab me.n

aaj kyaa dekhaa Khalaao.n ke sunehare Khvaab me.n
aaj kyaa dekhaa Khalaao.n ke sunehare Khvaab me.n
reg_zaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n mah_taab me.n

jab se pahanaa hai naye mausam ne zaKhmo.n kaa libaas
phuul se khilane lage hai.n diidaa-e-Khuunaab me.n

nisf_shab ko niind me.n chalataa huaa paikar ko_ii
naqsh-e-paa kyo.n chho.D jaataa hai dayaar-e-Khvaab me.n

vo to Khud apane tajassus me.n bhaTak kar rah gaye
tazakaraa thaa jin kii azamat kaa bahut ehabaab me.n

chhe.Dataa hai saaz-e-shab ko yuu.N samandar kaa sukuut
Duub jaatii hai fazaa sangiit ke sailaab me.n

No comments:

Post a Comment

visters

About Me

My photo
Jhang, Punjab, Pakistan