aaj bhii hai.n mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa
aaj bhii hai.n mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa terii galiyo.n me.n bhaTakate the jahaa.N aavaaraa tujh se kyaa bichha.De to ye ho ga_ii apanii haalat jaise ho jaaye havaao.n me.n dhuaa.N aavaaraa mere shero.n kii thii pahachaan usii ke dam se us ko kho kar hue benaam-o-nishaa.N aavaaraa jis ko bhii chaahaa use TuuT ke chaahaa "Raashid" kam mile.nge tumhe.n ham jaise yahaa.N aavaaraaContributed by Ajay Chandran

No comments:
Post a Comment